Assalamoalikum! han g aaj ham bhi aakhir kar apnay Bhai k beshumar minnaton k baad yahn tashreef lai hi aye baray arsay sai bhai sar kha rah tha k aap bhi apna blog banao lakin himat nahin ho rahai thi k agar blog bana bhi lia jaye to uss maintain kesay rakhun gi yani k post kaha sai karun gi lakin ham haray or bhai sahib jeet gay oe iss taraha aaj sai hamari bhi yahan aamad ho gai ab dekhain yeh aamad kia rang dikhati hai?Dua karain k yeh aamad barqara rahai urdu likhnay ki bhi koshish karun gi filhal to Roman pe guzara karna parre ga.
Advertisement